Meri maa har din subha subha uthti hai par kabhi kabhi der se bhi kyunki wo ghar ke sare kam karte karte thak jati hai. Meri maa mujhe bahut pasand hai aur wa khana bahut acha banati hai . Ek din jab mein school se aa rha tha tab mujhe unhindina sak hua ki ek ladka meri cycle ki Handle dhile aur brakes dhile kar deta hai jab mein dusre din school gaya aur hamare school ke khidke se jab mein apni cycle ko dekhi raha tha ki wahi ladka cycle ko dekh raha tha mujhe sak ho gaya aur mein jaldi se nikla aur cycle ki taraf douda chala aya ladka tab Tak bhag chuka tha jab meine cycle ko dekha to handle ek dam thik aur brakes bhi jab mein ghar aya tab meine apni maa ko sari baat boldi agle din mein aur meri maa school gaye principal sir ko meri sikayat meri maa ne bata di aur sir us ladke ko dhundne lage jab unhe wo ladka nhi mila to sir udas hakar beth gaye bethe bethewahi ladka hamare paas aya principal sir ne uss ladke ko punishment diya aurwo ladka chala gaya. Kuch din baad jab mein bimar tha to wahi ladka mujhe ek din dekhne aya aur kuch fal jaise aam,kela,angur ,anar jaise bahut sare fal leke aya jab meri maa mujhe dekhne ayi tab us ladke ko dekh kar gussa ho gayi mene meri maa ko badi mushkil se samjha kar saant karaya aur kursi par baithaya mein bimar tha par meri maa ke aghe andhi ho ya tuphan kuch bhi nahi tikta hai ladka maa ko dekh kar dara hua tha us ladke se jab meine akele meine baat ki to mujhe sara raj pata chal gaya aur baat karke wo ladka chala gaya tab meine apni maa ko sara raj bataya aur raat bhi ho gyi thi to khana kha ke so Gaye agle din meine subha ko ek later likha jisme likha hua tha (mere priye mitra us din ki hui galdi ki maafi maang Raha hun aur waise galti dobara mujhse nhi ho gi ). Us din ka raj kuch nhi balki usme meri Handel aur brake kuch nhi kiye the balki ek nojawan ne Kiya tha wo ladka to bas meri cycle chalane chahta tha. Meine meri cycle us ladke ko chalane ke liye diya aur wa ladka ab khus dikhayi de raha tha ab ham dushman nhi balki dost the jab us ladke ka janam din aya to mein aur meri maa us ladke ke liye gift le gaye wa ladkaus gift ko dekh kar khus ho gaya meri maa ne us ladke ko bahut sari laad pyar Diya ab Mera dost meri maa se dara hua nhi balki ab pyar kar Raha hai uske janam din par uske bahut sare dost aye the jab usne cake kata to bas kya tha jo hona tha ho gaya kyunki koyi baloon phod rahe hai koye cake ke liye lad raha janam din ab khatam hua aur sabhi dinner ke liye chatayi par baith kar dinner ki jab ham dinner kar ke ja hi rhe the wa ladka aya aur meri maa ke charan chue aur ham gale mile dobara janam din ki shubhkamnaye diye aur apne ghar ke liye nikal gaye . Jab ham dushman the us ladke ke saath tab bhi meri maa ne meri madat ki aur jab ham dost bane tab bhi meri maa ne mera saath diya. Is kahani se hame ya sikh milti hai ki hame dushman ho ya dost sabhi ka saath dena chahiye.
