Flash ke baad Rohan zameen par gir gaya.
Usne dekha—ek dusra room.
Is baar ek ladki chain me bandhi thi… weak… roti hui.
"Please mujhe bachao…" usne kaha.
"Main real Anaya hoon…"
Rohan confuse ho gaya.
"To phir upar wali kaun thi?"
Ladki ne darr ke saath kaha:
"Wo tumhe yahan rokne ke liye hai…"
"Har baar tum uski baat maan lete ho… aur loop continue ho jata hai."
Rohan ka dimaag hil gaya.
Toh wo ab tak jise sach samajh raha tha… wo jhooth tha?
