Chapter 1st
Mera naam mansi hai .mai ab ek
Doctor ban chuki hoo .logo ka
Bachpan yaadgaar hota hai ,pr mera bachpan khaufnak tha.
Ek chote se hadse ne meri duniya hi badal di .
Nhi to mera bhi bachpan yaadgaar hota.
Class 7th ki baat hai .saal yhi hoga koe 1995 .
Mere papa bade officer the ,
Saal -do -saal me unka transfer
Hota rhta tha ,isliye hme bhi papa,
Ke saath baar-baar seher badlna
Padta tha .jab koe seher achcha
Lagne lagta to promotion ke karan papa ka transfer ho jata.
Nae jagah pr.
Isliye mere zyada dost bhi nhi ban pate the.
Hme government ki taraf se ghar
Diya jata tha.
Is baar papa ne bataya ki hme
Government ki taraf se bada
Banglo mila hai.
Mai aur mera bhai arpit khushi se
Jhoom uthe ,kyoki hme pehli baar banglo me rehne ke liye mila tha.
Hm dono bahut khush the .
The bhi kyo na ,wo banglo beech ke pas tha .khuli hwa ,sea
Aur beech.bahut zyada sundar.
Waise to hmari dadi bhi saath
Rehti thi ,pr kuch dino ke liye unhe kahi bahar jaana tha.
Wo bahut puja paath kiya krti thi.
Mai papa ma aur bhai goa ke liye nikal gye.
Dadi kuch dino ke baad aayegi.
Jaate wakt dadi ne hm sabhi ko
Surksha sutra haatho me pehnaya.
Mai dadi ki ladli thi .mujhe wo itna pyaar krti jitna ma papa bhi
Nhi krte the.
Hm sabhi car me baithkr goa ke liye niklne lage .safar 9 ghanto ka tha .hm dono ne bahut masti ki aur thak kr so gye .hmari neend
Papa ki aawaz se khuli .
Maine aur arpita ne maa se pucha ki kya hm pauch gye hai.
Maa ne kha ki abhi nhi ,unhone
Kha ki car ka tayar panchar ho chuka hai.wo to ye achcha hua ki tayar sunsan jagah pr panchar
Nhi hua ,nhi to hm kya krte .
Kuch dur chalne pr hme home
Stay mil gya aur samne hi dhaba
Tha .hmne logo se pucha ki
Mekenik chahiye ,unhone kha ki
Mekenik to subah hi aayega .
Kyoki raat ka samay tha,isliye
Mekenik apni dukaan band kr
Chalaa gya tha.
Hmne ek raat whi rukne ka socha,dhabe me hm sabhi ne
Khana Khaya aur home stay me
Room le liya .whi hmne raat guzaari .
Agle din subah hote hi papa ne Mekenik ko le jaa kr car ka tayar
Badlwaya.
Thodi der baad hm sabhi ne nashta krke fir apne safar ke liye
Nikal gye 4 ghante baad hm banglo pr pauch gye.
Papa ne banglo ke get ke Saamne car roki ,hm dono bhai
Behen jaldi gadi se utare aur apne naye ghar ko dekhne lage.
Wha pr Bahut shanti thi banglo
Thodi sunsaan jagah pr bna hua
Tha.
