Chapter 11
Do din to sab theek tha .nilima
Ne kuch bhi ajeeb nhi kiya.
Hme lga ki sab theek ho gya hai.
Pr hme kya pta tha ki ye tufan ke
Aane ke phle ki shanti thi.
Nilima ko discharge mil gya .hm
Use lekr wapas ghar aaya gye.
Wo pura din theek rhi .
Raat ko mai papa ka phone aaya ,maine sab kuch bta diya.ma papa ko chinta hone lgi.
Unhone mujh pr gussa kiya ki maine unhe ab bataya hai.
Wo bhi aana chahte the pr maine
Mna kr diya Kyoki mamaji abhi
Theek nhi hue the.
Ma papa ne mujhe mera aur
Nilima ka khyal rkhne ko kha .
Phone ki baat khatm hote hi Mami ne ne khane ki plate lga di .
Maine pucha ki nilima ne khana
Khaya ki nhi khaya.
Mami ne kha ki wo nilima ko khana khilakr hi aayi hai.
Main khana kha hi rha tha ki mama ji aa gye khet se .Mami ne
Unki bhi thali lga di.ghar me thodi
Der ke liye khushi ka mahol ho gya.
Khana khakr hm sabhi baraamde
Me baith gye .
Bachpan ki baate hone lgi .
Maine pucha ki arpit aur arpita kha hai jab se hm aaye hai,hme
Dikhe hi nhi.nani ne kha ki wo
Apni masi ke yhaa gye hai kal wapas aa jaege.
