Cherreads

Chapter 2 - CHAPTER 2: Pehla Kadam

Aman raat bhar so nahi paaya…

Uske dimaag me sirf ek hi baat chal rahi thi —

"Mujhe apni zindagi badalni hai…"

Subah 5 baje hi wo uth gaya।

Ghar me sab so rahe the… lekin Aman ki aankhon me neend nahi thi।

Usne apna purana phone uthaya…

Internet on kiya… aur phir se search kiya:

👉 "Online paise kaise kamaye?"

Is baar usne sirf dekhna nahi…

kuch karna decide kiya।

Usne ek notebook nikali aur likha:

Roz kuch naya seekhna

Haar nahi maanna

Paise kama ke ghar ki halat badalni

School gaya…

Lekin aaj sab kuch alag tha।

Jab wahi teacher usse bole:

"Padhaai pe dhyaan do, warna kuch nahi banoge…"

👉 Is baar Aman sirf chup nahi raha।

Usne dil me kaha:

"Ek din aapko galat sabit karunga…"

Shaam ko ghar aakar…

Aman ne apna pehla step liya।

Usne ek chhota sa video banana start kiya…

Motivation ka…

Shuru me usse kuch samajh nahi aaya…

Editing galat ho rahi thi…

Video bhi achha nahi lag raha tha…

Lekin…

👉 usne band nahi kiya।

3 ghante baad…

Uska pehla video ready tha।

Usne darr ke saath upload button dabaya…

Kuch der baad…

👉 1 view…

👉 2 view…

👉 5 view…

Aman ke chehre par halki si smile aayi 🙂

"Shayad main kar sakta hoon…" usne dheere se kaha।

Lekin use nahi pata tha…

👉 Agla din uski zindagi badalne wala tha…

"Aman ke saath ab kya hoga?"

"Next part me shocking twist…"

More Chapters