Cherreads

Chapter 1 - THE LEGENDARY VILLIAIN

Ye baat hai aaj se kuch 500 saal pehele ki .raat ke sannato me ek ase masoom bache ki jo aghe chal kar ek nirdye manab bana jise aghe chal kar kaha gaya "THE LEGENDARY VILLIAN".

Ek purnima ki raat sunsan ghane jungle ke ek kone se ek maa ki awas 'maa oo maa 'kar ke gunj rahi thi. Uss garbhabati mahila ke sath ek 80 saal ki maa aur 90 saal ka pita khada tha. Uss raat ullu aur bhediyo ke bhayanak awajo se jangle gunj rahi thi. Uss purnima ki raat uss maa ke pet se janam liya ek bache ne.uss ka naam raha 'RUDRANSH' jis ko sab ne 'RUDRA' kar ke pukar. Bachapan se wo bahat shant aur nirmal Maan ka tha wo sabki madar kar ta tha. Iss tarah 5 saal gujar gaye. Jungle me rahane ke karan wo jungle ke sare janwarose wakif tha.

Dhire dhire wo ab bada horaha tha abb wo 10 saal ka hogaya tha ek din ki baat hai wo jish kabile me raheta tha waha ek bimari aee jis ke karan uski Nani chale gaye .wo app ni Nani se bahar pyar karta tha kya hi uss ki marzi. Ye bimari dhire dhire kabile ke sare bache aur budhon ko hone lagi. Uss kabilon ke kucha buddhe bediyon ne kaha ye ek prachin bimari hai jiska ilaj unhe bi malum natha.magar appne Nana ko bachane ke liye aur gaanwo ke sare bacchon aur budhon ko bachane ke liye Rudra kuch bi kar ne ko taiyar tha. Magar uss nadan se bachhe ko ye maloom natha ki wo kya karne jaraha hai.

More Chapters