Cherreads

Chapter 3 - CHAPTER: 3

Saal badla , ab Aryan ke andar dheere , dheere udaasi , mayusi or akelepan ne apni jagah banani shuru kar di !

9th me aakar usne school change Kiya , ab board pattern or syllabus sab kuch badla , usne ne soch liya tha ki ab usse sabko dikhana hai ki vo aakhir chiz kya hai .

School shuru hua ! Sab theek chalne laga .

Ab exams aa gaye or fir ek baar uski percentage down aa gai . Fir vahi sab hua jo pichli baar uske saath hua tha . Majak bana , taane maare gaye !

Or is baar bhi kuch na kah saka . U hi 10th me hua , qunki ab dar , tension , anxiety , depression, akelepan ne uske andar aisa dera jama liya ki bechara Aryan ab baatein kam karta , kamre ke bahar Kam nikalta , saare dekhe hue sapne badal gaye !

Ab isi time , Aryan ki didi ko dekhne ladke vale aane lage , ek rishta pakka hua , or kuch mahino ke baad hi uski didi ki shadi ho gai !

Sab bohot khush the ,magar , Aryan ke mann me alag hi dar tha , ki shadi ke baad kahi uski didi usse bhool na jaaye ! Shadi ki raat ,Aryan bilkul nahi soya , vo har pal apni didi ke paas tha , shayad isi dar me ki, uski didiki shadi ke baad , uska kya hoga , kunki abtak jaisa uski didi ne usse sambhala , aage koi hoga hi nahi !

Dar to bohot tha , pr uski didi ka hasta hua chehra dekh kar , Aryan bhi thodi thodi der me sab bhoolne ki koshish karta.

Aakhir , uski didi ki shadi ho hi gai , agle din Vidai ho gai.

Ab 2 se 3 din tak to vo khud ko roke rakha , par ab usse , uski didi ki yaad bohot aane lagi , par ab kar bhi kya sakta tha vo !

Mann pr patthar kar kar , ab usne dheere dheere khud ko akela rakhne ki adat daal li !

Akela sota , akela khata , akela baitha rahta !

Kuch bolta to , bhi khud se hi bolta , khud hi khud se baatein karta or jyada tar bahar hi baitha rahta !

Uski didi ke jaane ke baad , uski life me itna gap aa chuka tha , ki ab vo khud simat sa gaya !

Ek aisa khalipan uski life me aa gaya tha , jisse shayad koi na bhar paaye !

Vo kisi ko dikhata nahi tha ki uske mann me kya chal raha hai , bahar se aise jatata tha ki jaise usse kisi chiz se farak nahi padta , pr andar hi andar usse sab kuch khaaye ja raha tha !

Ab acedemic me bhi Laakh koshisho ke baavajood vo 1st position nahi la paa raha tha .

Khair , 11th aai , usne arts lene ka faisla kiya , sabko bataya , to sabne or majak bana diya . Bola jo bachhe duffer type ke hote hai vahi arts lete hai !

Par ye pahli baar aisa hua tha , ki uske andar kuch jaga or usne sabse ladkar , sabse bahas karke arts li !

Ab usse koi or stream change karne ke liye bohot pressure kiya gaya , majak banaya gaya , taane maare gaye par ab vo to kaha hi sun ne vala tha kisi ki !

Saal beetne laga , sab theek hone laga , ab vo dheere dheere sab kuch handle karne laga !

Mahaj ek 14 saal ke bachhe me ab itni akal , itni maturity aa chuki thi ki , ab usse sabsamjh aane laga , uske ghar ke haalaat , uske father ki financial state, sab kuch !

Yahi se shuru hota hai uske pyaar or jimmedariyo ka safar .....!

Adha saal beeta , ab uske school me sports day home ja rahe the , usse apne house ka vice captain bana diya gaya !

Sabhi jimmedariya vo ab nibhane laga tha !

Sports week ke 2nd day !

Uski mulakaat hoti hai REVA se ..... Ek west Bengali girl ! Mijaaj ki bohot pyari , bohot calm , or mature and chulbuli si !

Jab half time me Aryan class me kuch der ke liye aya , tabhi Reva apni best friend akshu ke saath ghoomte hue uski class me aa gai !

Tab Aryan bhi class me akela hi baitha tha , Reva ne Aryan ko dekha , or achanak se aakr uske paas baith gai , Aryan thoda sa chok gaya , ki pahli baar koi uske paas aakar saath me baitha hai !

Dono me baat shuru hui , dono hi ek dusare ko jaan ne lage !

Fir kuchdin baad , Aryan ko kahi se Reva ki I'd mil gai thi instagram pr , usne Reva ko follow karke , usse message kar diya !

Kunki Aryan abhi social media ka use karne hi laga tha , usse itna kuch pata nahi tha !

Dheere dheere un dono me baat badhne lagi, Reva or Aryan ab ek dusare ke kaafi achhe dost ban gaye the , ek dum pakke vale !

Ab Aryan bhi bohot bada vala introvert tha , pr Reva ke saath aakr ab vo badalne laga tha !

Reva ne Aryan ko poora badal ke rakh diya tha , ab Aryan ko life achhi lagne lagi thi , vo ek bohot bada space , jo uski didi ki shadi ke ke baad ban gaya tha , ab bharne laga tha !

Ab dheere , dheere vo khud ko jaan ne laga tha !

Kuch hafton ke baad ,uske mann me Reva ke liye feelings aane lagi , kunki Reva ka vo soft nature , pure character , or thoda thoda pyaar or haq Jatana , ab usse accha lagne laga tha !

Usse lagne laga , ki jis ek shaks ki usse talash thi , ek aisa shaks jo uske na bolne par bhi usse samjh sake !

Vo Reva hi thi .....

To yaha se shuru hoti hai Aryan ke aashiq banane se uske pagal banane Tak ki kahani !

More Chapters