Chapter 8
Mai zyada in cheezo pr vishvash nhi krta tha. Nani ki sraddha thi.
Isliye mai jaane ke liye maan gya
Jab hm un baba ke thikane pr gye to unhone bina mere bataye hi mera naam bta diya.mujhe lga ,ki nani ne bataya hoga .pr nani ne kha ki unhone nhi bataya
Unhone bs itna bataya ki wo apne nati ke saath aa rhi hai .
Baba ne mujhe dekhkr kha ki kuch bura hone wala hai .unhone
Kha ki mujhe aur meri ptni ko
Kuch aur din is gaaw me rhne ko
Kha.unhone nani se kha ki koe
Bahut bda sankat mere uper hai.
Unhone pucha Ki meri ptni kha
Pr hai maine kha ki ,wo ghar pr hai.babaji ne kha ki uske saath koe hai na.
Nani ne kha ki sab mandir aaye hue hai wo akeli ghar pr hai.
Unhone kha ki jald hi kuch bura
Hone wala hai hme jald hi ghar
Jaane ko kha .ki agar der ho jaegi to kuch anhoni ho sakti hai.
Maine man me socha ki kya hi ho
Jaeya .babaji ne meri man ki baat bhap li.unhone kha ki der na
Ho jaae ,fir mujhe nilima ki chinta sataane lgi isliye mai aur nani jald hi ghar ke liye nikle .
Ghar pauchkr dekha ki nilima kmre me behosh pdi thi .uske haatho me se khoon aarha tha.
Usne apni klae kaat li thi.
Hm use jldi jldi hospital le gye.
Hmne bharti krwa diya .kuch der baad doctor aaye unhone kha ki
Thodi aur der ho jaati to nilima
Nhi bach pati.kyoki khoon zyada
Beh gya tha .
Mai aur Mami hospital me hi ruk
Gye mama aur nani ko ghar bhej
Diya.
