Zoya Puri Raat so Nahi paayi.....
Woh unknown message uske dimag Me
Baar Baar ghoom raha Tha
Ayaan ka sach...
Subah college pahunchte hi usne ayaan ko dekha.ayaan usual tarah se muskura raha Tha....Jaise sab normal ho.
Good morning zoya.
Hmmm.....good morning zoya me halki Si Muskaan ke Saath Jawab Diya lekin uski aankhon me confusion saaf dikh rahi Thi
Ayaan ne turant notice kar liya,
Sab theek Hai na
Zoya EK pal ke liye ruki...phir boli
Ayaan...Kya tum mujhse kuch chhupa rahe ho ?
Ayaan ka chehra aik pal ka liye serious ho Gaya....lekin phir usne Baat Taal di
Tumhe aisa kyun lag raha Hai
Zoya ne phone nikala aur woh message dikhaya.
Ayaan ne message Dekha...aur uski aankhon Ki chamak ekdum se Gayab ho gayi yeh....kisne bheja tumhe usne dheere se poocha...
Pata Nahi.....lekin iska MATLAB Kya Hai ayaan?
Zoya Ki awaaz halki Si kaanp rahi Thi
Ayaan kuch bolne hi wala Tha...
Tabhi peeche se EK awaaz aayi
Main batata hu iska MATLAB
Dono ne mudh kar Dekha...
Rehan khada Tha.
Zoya hairaan ho gayi,Rehan....tum ?
Rehan dheere dheere unke pass Aaya uski aankhon me gussa aur Dard dono tha
Zoya....tumhe sach jaanne ka Haq Hai
Ayaan ne kaha Rehan bas karo yeh tumhara matter Nahi Hai
Rehan ne seedha ayaan Ki taraf Dekha
Sach Kabhi chhup Nahi sakta ayaan
Zoya bechain ho gayi
Koi mujhe batayenga bhi yaha Kya ho raha Hai Rehan ne Gehri SaaS li our Kaha
Ayaan pehle bhi EK ladki Ki life me aise hi Aaya Tha aur uska Dil Tod kar chala Gaya
Zoya ka Dil zor se dhadka our voh sochne lagi Mena jis Sa pyar Kiya ha kahi voh koi dhokebaaz insaan toh Nahi
Rehan ne aage Kaha aur sirf Dil hi Nahi us ladki Ki zindabi bhi Barbad ho gayi thi
STOP IT REHAN ayaan Zoor se bola
Pura atmosphere heavy ho Gaya....
Zoya dheere se peeche Hati uski aankhon Mai aasu a Gaye the zoya ka Dil tut Gaya woh bina kuch bole waha se chaali gayi
Par Kise pata the Ki Rehan ayaan ko phasane ka Liya itni Badi shadish karega
