Ayaan our zoya Ki dosti ab acchi Chal rahi Thi par kahi na kahi ayaan Ayera ko pasand Karta the par voh Ayera sa na milne ke bajaye usse Baat Nahi kar pata tha Ayera bhi acche se recover ho Chuki Thi our vapas college akar ayaan ko surprise Dena chahti Thi
Lekin kaahani itni simple Nahi Thi
Rehan Jo zoya ko pasand Karta Tha woh hamesha chup rehkar zoya ko dekhte rehta Tha uski dur Sa hi Har choti Sa choti Baat notice Karta Tha
Aik din canteen Mai....
Zoya our ayaan sath baithe hansi Mazak kar rahe the tabhi Rehan ne unhe sath Dekha...
Uski aankhon Mai halka Sa Dard Tha lekin usne shuru Mai chup rehnaa hi behtar samjha baad Mai Rehan ne himmat karke zoya Sa Kaha
Zoya....mughe tumse kuch kehna Hai
Rehan ne Gehri SaaS li
Main tumhe pasand Karta hoon....
Kaafi time se
Zoya shock ho gayi usne Kabhi is Nazar se Rehan ke baare Mai Socha hi Nahi Tha balki zoya toh Rehan ko pasand Karti hi Nahi thi
Us Raat.....
Zoya apne kamre me baithi Soch rahi Thi ayaan Ki Muskaan,uski care aur Rehan Ki sachchai
Main Kya Karun...usne dheere se khud se Kaha
Aur tabhi....
Zoya ke phone par aik unknown number se message Aaya
Agar tum ayaan ka saath rahi toh tumhe uska sach Jaan Lena chahiya
Zoya ke hanth kaanp Gaye
Yeh Kaun Hai aur ayaan ka kaunsa sach
Screen Dheere dheere dark ho gayi aur zoya ke Dil me EK ajeeb Sa Darr bas gaya
