Ravi ab dheere-dheere us duniya me ghus chuka tha jahan se wapas aana aasaan nahi hota.
Vikram ke saath rehkar usne paisa kamaana to seekh liya tha… lekin ab usse samajh aa raha tha ki yeh duniya sirf paisa nahi, darr par chalti hai.
Ek raat Ravi ko ek kaam diya gaya—
Is baar kaam simple nahi tha.
Usse kisi aadmi ko darana tha…
sirf darana nahi, balki usse itna dara dena tha ki wo kabhi dobara Vikram ke khilaaf khada na ho.
Ravi ke haath kaanp rahe the…
Dil tez dhadak raha tha…
Ye pehli baar tha jab usse kisi aur ki zindagi me darr paida karna tha.
Usne apne aap se kaha—
"Ye sab main kyu kar raha hoon?"
Lekin phir usse apna past yaad aaya—
gareebi, beizzati, logon ki hasi…
Aur usne apni aankhon me sakhti la di.
Us raat Ravi ne apna pehla kadam uthaya…
ek aisa kadam jo usse aur andhere me le jaane wala tha.
Ab Ravi sirf badal nahi raha tha…
wo khatarnak ban raha tha.
