Chapter 4 – Ek Naya Dost
Hamid Arman ko ek choti si chai ki shop par le gaya.
Shop purani si thi, lekin wahan ki chai kaafi famous thi.
"Yahan ki chai try karo," Hamid ne kaha.
Arman muskura diya.
"Thanks yaar. Main actually yahan naya hoon."
Dono bench par baith gaye.
"Kahan se aaye ho?" Hamid ne pucha.
"Lucknow se," Arman ne jawab diya.
Arman ka nature friendly tha. Woh aasani se baat kar leta tha, jabki Hamid zyada bolne wala nahi tha.
Thodi der me chai aa gayi.
Arman ne sip li aur bola,
"Sach me… badhiya chai hai."
Hamid halka sa hans pada.
Usse pata nahi kyun, lekin Arman ke saath baat karte waqt woh thoda comfortable feel kar raha tha.
Jaise woh apni khamoshi se thoda bahar aa raha ho.
